hasin subh hasin sham chahta hun main
ki zindagi ko KHush-anjam chahta hun main
zara sa muskura ke meri taraf dekh to lo
hun tishna baada-e-gulfam chahta hun main
nahin hai shak koi is mein to nek-sirat hai
zamane bhar mein tera nam chahta hun main
wo jis ke waste khain hain Thokaren kitni
usi ko ham-safar har gam chahta hun main
tera KHayal ho dil mein labon pe zikr tera
ki phir se yun sahar-o-sham chahta hun main
'karan' ye kaun kahe baDh ke mere saqi ko
ki us ke hathon se ek jam chahta hun main
Ghazal
Hasin subh hasin sham chahta hun main
Karan Singh Karan