اردو हिंदी
Hasin raaton jamil taron ki yaad si rah gai hai baqi | Shaahi Shayari
hasin raaton jamil taron ki yaad si rah gai hai baqi

Ghazal

Hasin raaton jamil taron ki yaad si rah gai hai baqi

Saifuddin Saif

;

hasin raaton jamil taron ki yaad si rah gai hai baqi
kuchh apni ujDi hui bahaaron ki yaad si rah gai hai baqi

har ek mahfil paDi hai suni tamam mele bichhaD chuke hain
sitamgaron ki sitam-shiaron ki yaad si rah gai hai baqi

gham-e-wafa kahne sunne wale kahan gae ahl-e-dil na jaane
tumhaari ulfat ke raaz-daron ki yaad si rah gai hai baqi

wo sham se aarzu sahar ki wo be-kali raat raat bhar ki
un aashna aashna sitaron ki yaad si rah gai hai baqi

udhar bhi ahd-e-wafa ke TukDe khaTak ke pahlu mein so chuke hain
yahan bhi TuTe hue sahaaron ki yaad si rah gai hai baqi

gila nahin 'saif' be-kasi ka kisi ka gham kaun puchhta hai
yahi bahut hai ki gham-gusaron ki yaad si rah gai hai baqi