hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain
labon ki jot jalao! bahaar ke din hain
takallufat ka mausam guzar gaya sahab!
naqab ruKH se uThao bahaar ke din hain
gulon ki sej to tauhin hai hasinon ki
dilon ki sej bichhao bahaar ke din hain
bahaar bit gai to tumhaari kya izzat
sitam-zarif ghaTao! bahaar ke din hain
hai umr-e-rafta se parKHash kya bhala hum ko
qarib hai to bulao! bahaar ke din hain
mughanniyo! tumhein kahte hain hatif-e-rangin
saman-e-baron ko jagao! bahaar ke din hain
ye angbin si raaten baDi muqaddas hain
dilon ke dip jalao! bahaar ke din hain
'adam' ne tauba to kar li mughanniyo! lekin
tum us ko rah pe lao bahaar ke din hain
Ghazal
Hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain
Abdul Hamid Adam