hasin hai shahr to ujlat mein kyun guzar jaen
junun-e-shauq use bhi nihaal kar jaen
ye aur baat ki hum ko nazar nahin aae
magar wo sath hi rahta hai hum jidhar jaen
hayat-e-ishq ka maqsud ban gai aaKHir
ye aarzu ki tera nam le ke mar jaen
ye rah-e-ishq hai aaKHir koi mazaq nahin
saubaton se jo ghabra gae hon ghar jaen
pahunch ke manzil-e-maqsud par hi dam lenge
ki chal paDe hain to kis munh se lauT kar jaen
Ghazal
Hasin hai shahr to ujlat mein kyun guzar jaen
Dil Ayubi