hasin dimagh mile jagta shuur mile
KHuda kare ki tujhe raste mein nur mile
bahut hai saya-e-bedar KHalwat-e-gham ka
ki KHalwaton ke amin be-KHudi mein chur mile
yahi jatan hai ki taqdir sar-nigun na rahe
use bhi is nigah-e-naz ka ghurur mile
hasin-tar ho zamana jamil-tar ho hayat
agar lagan na lage KHak phir surur mile
unhen nigah ki aaghosh mein basaya tha
khuli nigah to wo zindagi se dur mile
wo jin ko tere taghaful ne kar diya mujrim
meri nazar ko wahi log be-qusur mile
main KHud hi dard se daman bacha ke guzra hun
wagarna zist ko parwaz-e-gham zarur mile
Ghazal
Hasin dimagh mile jagta shuur mile
Naseer Parwaz