hashr mera ba-KHair ho mujh ko bana rahe ho tum
KHak mein jaan Dal kar KHak uDa rahe ho tum
ibrat-e-zauq-e-zahr KHanda-e-zauq-e-zabuni-e-do-chand
shauq baDha ke pai-ba-pai shamen bujha rahe ho tum
mere adam mein bhi baham tha sitam-e-azal ka gham
pahle hi main nazar tha aur sata rahe ho tum
soz to soz hai magar saz bhi soz ho na jae
saz ko aaj soz ke samne la rahe ho tum
darKHur-e-sajda hai abhi aur abhi nang-e-zindagi
ishq-e-wafa-sarisht ko KHub rula rahe ho tum
tohmat-e-hast bhi rawa hasil-e-nist bhi baja
han meri sarnawisht ke dagh miTa rahe ho tum
KHanda-e-zer-e-lab bhi hai girya-e-be-sabab bhi hai
be-hama-o-bahar-e-ada rang jama rahe ho tum
Ghazal
Hashr mera ba-KHair ho mujhko bana rahe ho tum
Meem Hasan Lateefi