hashr ek guzra hai virane pe ghar hone tak
jaane kya biti hai dane pe shajar hone tak
hijr ki shab ye mere soz-e-darun ka aalam
jal ke main KHak na ho jaun sahar hone tak
ahl-e-dil rahte hain ta-zist wafa ke paband
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak
be-qarari ka ye aalam hai sar-e-sham hi jab
dekhen kya hota hai is dil ka sahar hone tak
dekhenge hashr jafaon ka hum un ki 'danish'
rah gae zinda jo aahon ke asar hone tak
Ghazal
Hashr ek guzra hai virane pe ghar hone tak
Danish Farahi