hasb-e-maqsud ho gaya hun main
rakh ka dud ho gaya hun main
ek kamre talak basirat hai
kitna mahdud ho gaya hun main
nam pahle barae-nam to tha
ab to mafqud ho gaya hun main
yun khinche muflisi mein sab rishte
jaise mardud ho gaya hun main
manfat banTta raha kal tak
aaj be-sud ho gaya hun main
shahr radd-o-qubul mein aa kar
bud-o-nabud ho gaya hun main
umr ki na-rasa masafat mein
gard-alud ho gaya hun main
huzn ki yas ki wadiat par
ain masud ho gaya hun main
bab-e-shahr-e-suKHan hua tha 'ali'
nutq-e-masdud ho gaya hun main
Ghazal
Hasb-e-maqsud ho gaya hun main
Ali Muzammil