hasb-e-mamul aae hain shaKHon mein phul ab ke baras
saya-afgan hain magar un par babul ab ke baras
is tarah badla mohabbat ka usul ab ke baras
hum bhi hain maghmum tum bhi ho malul ab ke baras
jhonpaDon se kaT ke chandi ke bagule chal diye
baala baala uD gai sone ki dhul ab ke baras
itne gham itne masail itne unwan-e-soKHan
hai juda har sher ki shan-e-nuzul ab ke baras
kaT gain sadiyan isi mauhum si ummid par
aasman se hoga rahmat ka nuzul ab ke baras
miT gai tahrir-e-qismat uTh gae anjum-shanas
aql KHud karti hai tadbir-e-husul ab ke baras
inqilab-asar hai raftar mah-o-sal ki
kuchh to badlega zamane ka usul ab ke baras
Ghazal
Hasb-e-mamul aae hain shaKHon mein phul ab ke baras
Iqbal Mahir