hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe
pa-ba-jaulan dida-o-lab-doKHta chalte rahe
be-basirat manzilen gard-e-safar hoti rahin
aur hum be-maqsad-o-be-muddaa chalte rahe
fasl-e-gul ki chap thi is tab-e-nazuk par giran
tha safar KHushbu ka ghunche be-sada chalte rahe
kajali raaton mein suraj ke hawale so gae
iqtibas apne lahu se le liya chalte rahe
su-e-manzil piTh thi aawargi jari rahi
fasla har gam par baDhta raha chalte rahe
jab ye dekha pairahan ka tar tak baqi nahin
kar ke zeb-e-jism zaKHmon ki qaba chalte rahe
aap kya hum KHud bhi sun pae na dil ki dhaDkanen
apne sine par qadam rakh kar sada chalte rahe
Ghazal
Hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe
Sayed Naseer Shah