harza-sarai bain-e-suKHan aur baDh gai
sasta hua to qimat-e-fan aur baDh gai
jaana ki dost hi tha masiha ke rup mein
dil par rakha jo hath jalan aur baDh gai
jaane kahan se aai thi kal raat ko hawa
khiDki khuli to ghar mein ghuTan aur baDh gai
pahle hi hath-paon hasin kam na the magar
rang-e-hina se un ki phaban aur baDh gai
yaum-e-jaza mein fitna-e-mahshar ki KHair ho
pahle hi jo thi sarw-badan aur baDh gai
sahra ko dekhne ka to bachpan se shauq tha
dil ko laga liya to lagan aur baDh gai
wo to mere manane se 'aKHtar' bigaD gae
mathe pe ek gahri shikan aur baDh gai
Ghazal
Harza-sarai bain-e-suKHan aur baDh gai
Junaid Akhtar