اردو हिंदी
Haris-e-KHwahish-e-lal-o-guhar nahin hui main | Shaahi Shayari
haris-e-KHwahish-e-lal-o-guhar nahin hui main

Ghazal

Haris-e-KHwahish-e-lal-o-guhar nahin hui main

Naz Butt

;

haris-e-KHwahish-e-lal-o-guhar nahin hui main
mohabbaton mein talabgar-e-zar nahin hui main

tera KHayal raha dil ki dhaDkanon ke qarin
so tere gham se kabhi be-KHabar nahin hui main

sajaya KHud ko wafa ke singhaar se main ne
isi sabab se kabhi be-hunar nahin hui main

kisi ko kaise batati main manzilon ka pata
jab apne sath sharik-e-safar nahin hui main

KHuda-e-husn-azal ne mujhe nawaza hai
KHumar-e-ishq se sarf-e-nazar nahin hui main

hai us ka dawa ki main us ki zindagi hun 'naz'
wo kya karega kisi din agar nahin hui main