harim-kaba bana di wo sar-zamin main ne
tere KHayal mein rakh di jahan jabin main ne
mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb
wo husn jis ko kiya jalwa-afrin main ne
chaTak mein ghunche ki wo saut-e-jaan-faza to nahin
suni hai pahle bhi aawaz ye kahin main ne
rahin-e-manzil-e-wahm-o-guman raha 'aKHtar'
usi mein DhunDh liya jada-e-yaqin main ne

Ghazal
Harim-kaba bana di wo sar-zamin maine
Akhtar Ali Akhtar