harim-e-naz se aata hai bahra-war koi
dil aaina pe liye naqsh-e-fi-hajar koi
hisar-e-dard ki unchai baDhti jati hai
KHushi ki aandhiyan aa kar banaen dar koi
paDa hai yaadon ke hujre mein qufl muddat se
hanuz deta hai dastak si mo'atabar koi
chamakti rah to nazron se hai abhi ojhal
charagh-e-charKH ki milti nahin KHabar koi
ye sham Dale hue tan pe surmai chadar
gila karegi siyah-shab se muKHtasar koi
tamam KHwahishen KHashak mein huin tabdil
ghaDi mein shoala na kar de kahin sharar koi
teri zaban se lipTi hai chashni-e-hawas
kahan se aae teri baat mein 'asar' koi

Ghazal
Harim-e-naz se aata hai bahra-war koi
Marghoob Asar Fatmi