harim-e-naz kahan aur sar-e-niyaz kahan
kahan ka sajda kise hosh hai namaz kahan
mujhe KHabar hi nahin hai harim-e-naz kahan
niyaz-mand kahan aur be-niyaz kahan
paDi hai kya use hasrat zadon mein aane ki
ye meri bazm kahan aur wo mahw-e-naz kahan
ye mana husn-e-haqiqat ayan majaz mein hai
magar wo jalwa hai ai chashm-e-imtiyaz kahan
ilaj kis ka karega ye puchhta kya hai
bataen kya tujhe hai dard chaarasaz kahan
kabhi to milti thi hijr-o-visal mein lazzat
magar bujhi hui dil mein wo soz-o-saz kahan
duaen mangta hai shaiKH kyun maaz-allah
KHuda ka nam le tauba ka dar hai baz kahan
baDe maze se guzarti hai baada-KHwaron ki
ba-juz sharab KHayal-e-shab-e-daraaz kahan
mila wo be-KHudi-e-shauq mein maza ai 'shauq'
junun-o-ishq mein baqi hai imtiyaz kahan

Ghazal
Harim-e-naz kahan aur sar-e-niyaz kahan
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq