اردو हिंदी
Harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa | Shaahi Shayari
harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa

Ghazal

Harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa

Afeef Siraj

;

harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa
meri tarah kabhi maidan-e-iztirab mein aa

payambaron ki zabani kahi suni hum ne
wo kah raha tha ki mere bhi intiKHab mein aa

suna hai aaj amari falak se utregi
mujhe bhi nind gar aae to mere KHwab mein aa

tujhe KHudai ka dawa hai gar to kam se kam
zamin par koi din rang-e-bu-turab mein aa

abhi hain sare sawalat tishna-kaam mere
uTha ke kandhe pe mina mere jawab mein aa

utar di hain bhanwar mein bhi kashtiyan hum ne
samundaron mein agar hai to is habab mein aa