harim-e-dil mein utarti hain aayaten us ki
lahu bhi karne laga hai tilawaten us ki
qarib tha to rag-e-jaan se bhi qarib raha
bichhaD ke ta-ba-falak hain masafaten us ki
hui hai shaKH-e-dil-o-jaan pe KHwahishon ki numu
lahu ke phul khilaengi qurbaten us ki
isi umid pe KHwabon ki fasl boi hai
ki kisht-e-dil mein ugengi bashaaraten us ki
KHayal rang hua chandni shafaq KHushbu
hazar rang mein dekhun main suraten us ki
numu-pazir hun mujh ko na chhoD ai dharti
meri jaDon ko abhi hain zaruraten us ki
lahu to jam gaya aankhon ki putliyon mein 'shakeb'
dikhaen aks bhala kya basarten us ki

Ghazal
Harim-e-dil mein utarti hain aayaten uski
Ragib Shakeb