harif koi nahin dusra baDa mera
sada mujhi se raha hai muqabla mera
mere badan pe zamanon ki zang hai lekin
main kaise dekhun shikasta hai aaina mera
mere KHilaf zamana bhi hai zamin bhi hai
munafiqat ke mahazon pe morcha mera
main kashtiyon ko jalane se KHauf khata nahin
zamana dekh chuka hai ye hausla mera
mere sawal se har shaKHs ko malal hua
pe hal kiya na kisi ne bhi masala mera
Ghazal
Harif koi nahin dusra baDa mera
Asad Badayuni