harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain
wo aaenge nahin aaenge hum saje hue hain
baDa hi KHushiyon bhara hansta-basta ghar hai mera
isi liye to sabhi qumqume jale hue hain
wo KHud-pasand hai KHud ko hi dekhna chahe
so us ke chaaron taraf aaine lage hue hain
ye kis hasin ki sawari guzarne wali hai
jo kaenat ke sab raste saje hue hain
mahak rahi hai faza us badan ki KHushbu se
chaman hara-bhara hai phul bhi khile hue hain
main us ki samt mein KHud rasta banaunga
wagarna us ki taraf raste bane hue hain
Ghazal
Harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain
Akbar Hameedi