hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka
wo subh ko hai yar mera sham kisi ka
is hasti-e-mauhum mein hargiz na khuli chashm
malum kisi ko nahin anjam kisi ka
itna koi kah de ki mera yar kahan hai
billah main lene ka nahin nam kisi ka
hone de mera chaak gareban mere naseh
nikle mere hathon se bhala kaam kisi ka
nahaq ko 'fughan' ke tain tashhir kiya hai
duniya mein na howe koi badnam kisi ka
Ghazal
Hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka
Ashraf Ali Fughan