اردو हिंदी
Harfon ka dil kanp raha hai lafzon ki diwar ke pichhe | Shaahi Shayari
harfon ka dil kanp raha hai lafzon ki diwar ke pichhe

Ghazal

Harfon ka dil kanp raha hai lafzon ki diwar ke pichhe

Kanval Ziai

;

harfon ka dil kanp raha hai lafzon ki diwar ke pichhe
kis qatil ka nam likha hai lafzon ki diwar ke pichhe

KHun se jalta ek diya hai lafzon ki diwar ke pichhe
aaj bhi kitni garm hawa hai lafzon ki diwar ke pichhe

karwaT le kar ek qayamat jagne wali hai ab shayad
kahne ko ek sannaTa hai lafzon ki diwar ke pichhe

sahma sahma khoya khoya kab se baiTha socha raha hun
kis ne mujh ko qaid kiya hai lafzon ki diwar ke pichhe

sab jaane pahchane chehre main bhi tu bhi ye bhi wo bhi
lashon ka ek shahr basa hai lafzon ki diwar ke pichhe

lafzon ki diwar ke aage aks ubhar aaya hai kis ka
KHanjar le kar kaun khaDa hai lafzon ki diwar ke pichhe

ruh-e-ghazal par tanhai mein jaane kitne war hue hain
misra misra tharraata hai lafzon ki diwar ke pichhe