اردو हिंदी
Harf mani se juda ho jaise | Shaahi Shayari
harf mani se juda ho jaise

Ghazal

Harf mani se juda ho jaise

Bakhtiyar Ziya

;

harf mani se juda ho jaise
zindagi koi saza ho jaise

baad muddat ke ye mahsus hua
dard hi dil ki dawa ho jaise

aur kya hogi faza-e-firdaus
tere kuche ki faza ho jaise

un nigahon ne jo pursish ki hai
aaj har zaKHm hara ho jaise

aap se mil ke to kuchh aisa laga
fasla aur baDha ho jaise

aah kya umr guzari hum ne
naqsh ban ban ke miTa ho jaise

kanp jata hun uqubat se 'ziya'
ab mujhe KHauf-e-KHuda ho jaise