اردو हिंदी
Harf larzan hain ki honTon pe wo aaen kaise? | Shaahi Shayari
harf larzan hain ki honTon pe wo aaen kaise?

Ghazal

Harf larzan hain ki honTon pe wo aaen kaise?

Ateeq Asar

;

harf larzan hain ki honTon pe wo aaen kaise?
rah mein aahon ke shoale hain bujhaen kaise?

waza-dari ke wo pahre hain ki ai jazba-e-dil
sang aur aaina ek sath uThaen kaise?

wo manazir jo tabiat ko jawan rakhte hain
ai KHizan ab tere hathon se bachaen kaise?

KHushk aankhon mein utarne se bhala kya hoga
dil hai sad-para bhala is mein biThaen kaise?

Dar hai daman na sulag jae Tapak jae agar
ashk aankhon mein taDapte hain bahaen kaise?

ai 'atiq' aap ki ye kam-nazari hai warna
is qadar jalwe hain aankhon mein sajaen kaise?