harf-e-tahajji sikh raha hun
dariya mein main kud gaya hun
mere qadam ki aahaT pa kar
raat jo sahmi chaunk gaya hun
samne manzil aa gai lekin
aage kya hai soch raha hun
teri taraf ek gam baDha tha
ab main KHud ko DhunD raha hun
kaun karega surat saiqal
zang laga ek aaina hun
manzil se hai itna talluq
mil ka patthar ban ke khaDa hun

Ghazal
Harf-e-tahajji sikh raha hun
Sakhawat Shameem