harf-e-tadbir na tha harf-e-dilasa raushan
main jo Duba to hua sahil-e-dariya raushan
ahd mein apne musallat hai andheron ka azab
taq mein waqt ke rakh do koi lamha raushan
yusuf-asa sar-e-bazar hain ruswa lekin
wadi-e-ishq mein hai azm-e-zuleKHa raushan
jo meri man ne diya raKHt-e-safar ki surat
mere mathe pe abhi tak hai wo bosa raushan
tir andheron ke mujhe zad mein liye baiThe hain
jaise is bazm mein hun main hi akela raushan
ain mumkin hai pighal jaen andhere dil ke
ai 'zafar' aise mein ho gar koi naghma raushan
Ghazal
Harf-e-tadbir na tha harf-e-dilasa raushan
Zafar Moradabadi