harf-e-dil na-rasa hai tere shahr mein
har sada be-sada hai tere shahr mein
koi KHushbu ki jhankar sunta nahin
kaun sa gul khila hai tere shahr mein
kab dhanak so gai kab sitare bujhe
koi kab sochta hai tere shahr mein
ab chanaron pe bhi aag khilne lagi
zaKHm lau de raha hai tere shahr mein
jitne patte the sab hi hawa de gae
kis pe takiya raha hai tere shahr mein
ek dard-e-judai ka gham kya karen
kis maraz ki dawa hai tere shahr mein
ab kisi shahr ki chah baqi nahin
dil kuchh aisa dukha hai tere shahr mein
Ghazal
Harf-e-dil na-rasa hai tere shahr mein
Mazhar Imam