اردو हिंदी
Harf-e-be-matlab ki maine kis qadar tafsir ki | Shaahi Shayari
harf-e-be-matlab ki maine kis qadar tafsir ki

Ghazal

Harf-e-be-matlab ki maine kis qadar tafsir ki

Saleem Shahid

;

harf-e-be-matlab ki main ne kis qadar tafsir ki
shakl pahchani gai phir bhi na is taswir ki

subh ka darwaza khulte hi chalo gulshan ki samt
rang uD jaega phulon ka agar taKHir ki

qaid mere jism ke andar koi wahshi na ho
sans leta hun to aati hai sada zanjir ki

tere chehre par jo likkha tha meri aankhon mein hai
hifz hai mujh ko ibarat ab bhi us tahrir ki

tujh ko dekha bhi nahin lekin teri KHwahish bhi hai
ret ki diwar sath-e-ab par tamir ki

ghar ki virani dar-o-diwar ke andar rahi
main ne apne dard ko mohlat na di tashhir ki

main ne lauh-e-arsh par likkha hua sab paDh liya
la meri aankhon mein miTTi de meri taqdir ki

mehr-o-mah lagte hain apne jism ke zarre mujhe
sochta hun kaun si manzil hai ye tasKHir ki

luT chuke wo hath shahid jin se mangi thi dua
han abhi tak hai fazaon mein mahak tasir ki