اردو हिंदी
Harf-e-be-awaz se dahka hua | Shaahi Shayari
harf-e-be-awaz se dahka hua

Ghazal

Harf-e-be-awaz se dahka hua

Akhtar Hoshiyarpuri

;

harf-e-be-awaz se dahka hua
ek diya hun taq mein jalta hua

is taraf diwar ke bhi main hi tha
us taraf bhi main hi tha baiTha hua

aanganon mein phul the mahke hue
khiDkiyon mein chand tha Thahra hua

kore kaghaz par ajab tahrir thi
paDhte paDhte main jise andha hua

kya kahun dast-e-hawa ke shobade
ret par ek nam tha likkha hua

mere KHun ki gardishen bhi baDh gain
us qaba ka rang bhi gahra hua

ungliyon mein us badan ka loch hai
rang-o-KHushbu ka safar taza hua

raat bhar jis ki sada aati rahi
sochta hun wo parinda kya hua

jagti aankhon mein 'aKHtar' aks kya
main ne dekha qafila jata hua