harf-e-aghaz-e-sada-e-kun-fakan tha aur main
raqs mein suraj tha pila aasman tha aur main
gir gai mundri zamin ki dhup ke talab main
justuju mein ek jahan-e-be-nishan tha aur main
raushni ke daere the TuTte bante rahe
lafz ki taulid ka zarrin saman tha aur main
ek shua se chhanTna the rang KHushbu zaiqe
ek pechida anokha imtihan tha aur mein
Than gaya tha ek tanaza izad o iblis mein
darmiyan kaun aaya aks-e-na-tawan tha aur main
be-yaqini aur yaqin ki sarhaden wazeh na thin
imtizaj-e-la-zaman-o-la-makan tha aur main
Ghazal
Harf-e-aghaz-e-sada-e-kun-fakan tha aur main
Sayed Naseer Shah