hare patto sunahri dhup ki qurbat mein KHush rahna
magar mumkin nahin hai ek si haalat mein KHush rahna
magan rahte hain ye buDhe shajar apni kathaon mein
unhen aata hai apne zehn ki jannat mein KHush rahna
hum insanon ko phir jine ka maqsad hi nahin milta
likha hota jo us ne sab ki hi qismat mein KHush rahna
ye aansu chaar din ke hain ye aansu sukh jaenge
sikha denge tumhein haalat har surat mein KHush rahna
main apne zaKHm akasr is liye bhi noch leta hun
kahin shamil na ho jae meri aadat mein KHush rahna
sukun-e-dil ganwa baiThoge tum fitrat se laDne mein
jo chaho aafiyat apne qad-o-qamat mein KHush rahna
pukara umr ko KHushiyon ne jab masruf the behad
samay se sikh lete kash hum fursat mein KHush rahna
Ghazal
Hare patto sunahri dhup ki qurbat mein KHush rahna
Zafar Sahbai