hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi
kahan tak ye zamin aaKHir nai poshak badlegi
hasin masum honTon par mohabbat ke sabaq taza
kabhi to aadmi ki fitrat-e-chaalak badlegi
rawan hai aab-o-KHun sar pattharon ko phoDne dije
nadi sailab ki rau mein KHas-o-KHashak badlegi
saliqa zindagi ki wahshaton ko milne wala hai
qaba us ki yaqinan daman-e-sad-chaak badlegi
chhabakti shabnamin aankhon mein najm-o-gul ke afsane
nai karwaT abhi shayad hamari KHak badlegi
dhule kapDon pe dagh-e-KHushbu rang-e-zindagi raushan
teri qurbat se dil ki sar-zamin-e-pak badlegi
Ghazal
Hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi
Zakauddin Shaya.n