hare hain zaKHm kuchh is tarah bhi mere sar ke
tamam umr uThae hain naz patthar ke
lahuluhan hua hai mera badan yun bhi
pakaD na paya kabhi hath main sitamgar ke
bas ek harf-e-muqarrar ke jurm mein hum ne
zaban pe war hazaron sahe hain KHanjar ke
wo log laya gaya hai jinhen barabar mein
kisi tarah bhi nahin the mere barabar ke
kuchh aise zaKHm bhi sar ko jhuka ke khae hain
jo mere baKHt ke the aur na the muqaddar ke
yahi utarenge manzil pe ek din mujh ko
ye jitne zaKHm hain panw mein mere Thokar ke
'nabil' aaj wo sar pe sawar hain mere
jo log ghar mein basae the main ne bahar ke
Ghazal
Hare hain zaKHm kuchh is tarah bhi mere sar ke
Nabeel Ahmad Nabeel