haram-sara-e-naz hai ki dar-e-gah-e-niyaz hai
nigah-e-nim-baz bhi nigah-e-nim-baz hai
idhar-udhar jahan-tahan majaz hi majaz hai
kahin kahin nasheb hai kahin kahin faraaz hai
na tishnagi na ishtiha na hirs hai na aar hai
zaban-e-ghaznawi pe ab ayaz hi ayaz hai
na mai-kade ki baat kar na but-kade ki baat kar
wahan bhi imtiyaz hai yahan bhi imtiyaz hai
bashar bashar ko dekh kar gulab ki tarah khile
yahi meri azan hai yahi meri namaz hai
wo aaenge nahin-nahin nahin-nahin wo aaenge
ye raaz raaz hi rahe dil-e-hazin ye raaz hai
kisi se dosti nahin kisi se dushmani nahin
na KHar se kasha-kashi na gul se saz-baz hai
Ghazal
Haram-sara-e-naz hai ki dar-e-gah-e-niyaz hai
Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri