اردو हिंदी
Haram mein muddaton DhunDa shiwalon mein phira barson | Shaahi Shayari
haram mein muddaton DhunDa shiwalon mein phira barson

Ghazal

Haram mein muddaton DhunDa shiwalon mein phira barson

Lala Madhav Ram Jauhar

;

haram mein muddaton DhunDa shiwalon mein phira barson
talash-e-yar mein bhaTka kiya main bar-ha barson

mahinon hath joDe ki KHushamad bar-ha barson
inhen jhagDon mein mujh ko ho gae ai bewafa barson

maaz-allah is aazurdagi ka kya Thikana hai
jo puchha yar se kab tak na bologe kaha barson

ghanimat jaan jo din zindagi ke aish mein guzren
kisi ka bhi nahin rahta zamana ek sa barson

wahi KHun-e-shahid-e-naz ab barbaad hota hai
raha ban kar jo tere hath mein rang-e-hina barson

hamari be-qarari ka zara tum ko na dhyan aaya
mahinon muntazir rakkha dikhaya rasta barson

zamane mein hamesha har mahine chand hota hai
tera jalwa nazar aata nahin ai mah-laqa barson

wahin par le chali be-tabi-e-dil wah-ri qismat
phira ki sar paTakti jis jagah meri dua barson

ada ho shukr kyun-kar be-kasi o na-umidi ka
rahi hain sath furqat mein yahi do aashna barson

na aaya ek din bhi wo but-e-be-rahm ai 'jauhar'
uTha kar hath kabe ki taraf mangi dua barson