haram kya dair kya donon ye viran hote jate hain
tumhaare mo'taqid gabru musalman hote jate hain
alag sab se nazar nichi KHiram aahista aahista
wo mujh ko dafn kar ke ab pasheman hote jate hain
siwa tifli se bhi hain bholi baaten ab jawani mein
qayamat hai ki din par din wo nadan hote jate hain
kahan se launga KHun-e-jigar un ke khilane ko
hazaron tarah ke gham dil ke mehman hote jate hain
KHarabi KHana-ha-e-aish ki hai daur-e-gardun mein
jo baqi rah gae hain wo bhi viran hote jate hain
bayan main kya karun dil khol kar shauq-e-shahadat ko
abhi se aap to shamshir-e-uryan hote jate hain
ghazab ki yaad mein ayyariyan wallah tum ko bhi
gharaz qael tumhaare hum to ai jaan hote jate hain
udhar hum se bhi baaten aap karte hain lagawaT ki
udhar ghairon se bhi kuchh ahd-o-paiman hote jate hain
Ghazal
Haram kya dair kya donon ye viran hote jate hain
Akbar Allahabadi