اردو हिंदी
Haram ko shaiKH mat ja hai but-e-dil-KHwah surat mein | Shaahi Shayari
haram ko shaiKH mat ja hai but-e-dil-KHwah surat mein

Ghazal

Haram ko shaiKH mat ja hai but-e-dil-KHwah surat mein

Shah Naseer

;

haram ko shaiKH mat ja hai but-e-dil-KHwah surat mein
agar hai mard-e-mani dekh le allah surat mein

nazar kar us ki Tuk nairangiyon par chashm-e-hairat se
kahin gul hai kahin kanTa kahin hai kah surat mein

sanam ki satr-e-abru katib-e-qudrat ne likhi hai
kalid-e-ilm-e-mani hai ye bismillah surat mein

subu-o-jam par kam-zarf karte hain nazar warna
bane hain ek miTTi ke gada o shah surat mein

mera wo tifl-e-abjad-KHwan paDhe kyunkar na ab hijje
baghair is qaede ke ho sake kab rah surat mein

juda diwar se kab taq hai koi batao to
dikhai de hai pur-ahwal ko do ek mah surat mein

kar apne dil ko saiqal ai sikandar ta ho ye raushan
safa se aaine ke kab KHalal hai aah surat mein

gaya hoga taraf kaba ki jo mahram nahin us se
ki haji us ke aamad raft ki hai rah surat mein

'nasir' us ki zaqan mein band hai wo yusuf-e-kanan
nikalti hai azizo dekh lo kya chah surat mein