haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai
safar mein lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai
tujhe ki parda-nashin ye hunar bhi aata hai
nazar bhi aata nahin aur nazar bhi aata hai
dabi dabi si zaban mein ye puchhna qasid
kabhi KHayal mein aashufta-sar bhi aata hai
tumhaari baat hai kuchh aur yun to aane ko
gharib-KHane pe aksar qamar bhi aata hai
ghamon ki sham hai be-shak magar udas na ho
ba-shakl-e-sham payam-e-sahr bhi aata hai
meri tabahi ka bais mera nasib sahi
magar ye harf teri zat par bhi aata hai
jawab-e-KHat ki to ummid 'ehtisham' kuja
ye dekh lauT ke paighambar bhi aata hai
Ghazal
Haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai
Qazi Ehtisham Bachhrauni