hara shajar na sahi KHushk ghas rahne de
zamin ke jism pe koi libas rahne de
kahin na rah mein suraj ka qahr TuT paDe
tu apni yaad mere aas-pas rahne de
bikhar chuke hain samaat ke talKH shiraaze
ab apne naram labon ki miThas rahne de
wo dekh Dah chukin wahm-o-guman ki diwaren
yaqin chiKH raha hai qayas rahne de
baDa latif andhera hai raushni na jala
urus-e-shab ko abhi KHush-libas rahne de
tasawwuraat ke lamhon ki qadr kar pyare
zara si der to KHud ko udas rahne de
Ghazal
Hara shajar na sahi KHushk ghas rahne de
Sultan Akhtar