اردو हिंदी
Hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera | Shaahi Shayari
hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera

Ghazal

Hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera

Khaleel Rampuri

;

hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera
ki aainon mein jhalakta tha bankpan mera

charagh le ke mujhe DhunDne nikalta tha
mere baghair na rahta tha ham-suKHan mera

siyahiyon ke bhanwar se nikal ke aaya hun
dhula rahi hai ujalon se munh kiran mera

siyah phul khila dhup ki munDeron par
hawa mein Tang diya kis ne pairahan mera

main reg-zar pe likkhi hui ibarat hun
hawa chalegi to uD jaega badan mera

bala rahi hai mujhe barf se Dhaki choTi
paDa hua hai chaTanon ke ghar kafan mera

shumar hone lage motiyon mein kankar bhi
'KHalil' kaam to aaya kisi ke fan mera