hara-bhara tha chaman mein shajar akela tha
shajar pe barg bahut the samar akela tha
baqa-e-nur falak par bhi ho gai mushkil
umaD rahi thin ghaTaen qamar akela tha
yahi to ek tamasha pas-e-tamasha tha
tamash-bin the bahut dida-war akela tha
rafaqaton se ye tanhai kam nahin hoti
sharik-e-bazm to tha main magar akela tha
gunah-e-ishq ki kaisi saza mili hum ko
ki sang-bar zyaada the sar akela tha
kiya tha hum ne safar sath sath yun 'alam'
ki main akela mera ham-safar akela tha
Ghazal
Hara-bhara tha chaman mein shajar akela tha
Intikhab Alam