har zarra ubhar ke kah raha hai
aa dekh idhar yahan KHuda hai
is charKH ko pis Dalta main
afsos ki yar be-wafa hai
marta teri kaj-adaiyon par
lekin wo KHumar utar gaya hai
main mehr-o-wafa ki intiha hun
tu jaur-o-jafa ki intiha hai
ushshaq ki ruh kanpti hai
jab aaina koi dekhta hai
ye kufr-nawazi-e-'tabassum'
kafir kisi but pe mubtala hai
Ghazal
Har zarra ubhar ke kah raha hai
Sufi Tabassum