har zarra chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar hai aaj
dil mahw-e-intizar hai aur kis qadar hai aaj
goya wo jalwa-gar hain nigahon ke ru-ba-ru
is darja eatibar-e-fareb-e-nazar hai aaj
mad-hoshi-e-jamal hai ya husn-e-iltifat
tamkin se be-KHabar nigah-e-fitnagar hai aaj
aahaT pe sans ki teri aamad ka hai guman
hangama-e-hayat bhi KHamosh-tar hai aaj
jo raaz-e-do-jahan hai amanat hai husn ki
hasil mujhe wo azmat-e-dard-e-jigar hai aaj
manzil ka mujh ko hosh na apni KHabar hai aaj
wo jaan-e-arzu jo mera ham-safar hai aaj
tahlil ho na jae kahin ruh-e-kaenat
saqi jo ye latafat-e-kaif-e-nazar hai aaj
mahwiyyat-e-jamal mein yara-e-guftugu
ai arz-e-shauq aalam-e-nau-e-digar hai aaj
saz-e-alam bhi soz-e-tarab-KHez hai 'hamid'
har ek nawa-e-dard meri naghma-gar hai aaj

Ghazal
Har zarra chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar hai aaj
Hameed Nag Puri