har uzw-e-badan ek se hai ek tera KHub
sine ki safai se hai chehre ki safa KHub
qasid ke badan par alif-e-zaKHm lage hain
KHat ka mere likkha ye jawab aap ne kya KHub
aagah nahin hai koi ahwal se mere
jo mujh pe guzarti hai wo jaane hai KHuda KHub
ban ban ke dahan halqa-e-gesu-e-musalsal
luTe hai tere bosa-e-ariz ka maza KHub
abtar hua jo sher kaha zulf ka teri
bandha koi mazmun hina ka to bandha KHub
madfun kiya teri hi gali mein use aaKHir
pai tere aashiq ne pas-e-marg bhi ja KHub
do-chaar hi shab mah to rahta hai nahufta
muddat hui dekha nahin wo mah chhupa KHub
sharbat ke ewaz suda-e-almas pilaya
ki aap ne bimar-e-mohabbat ki dawa KHub
ruk ruk ke jo dam nikle hai mazbuh ka tere
kya KHanjar-e-KHun-KHwar tera tez na tha KHub
maghrur na hona karam-e-yar pe 'ghafil'
paega abhi dil ke lagane ki saza KHub
Ghazal
Har uzw-e-badan ek se hai ek tera KHub
Munawar Khan Ghafil