اردو हिंदी
Har uqda-e-tadir-e-jahan khol rahi hai | Shaahi Shayari
har uqda-e-tadir-e-jahan khol rahi hai

Ghazal

Har uqda-e-tadir-e-jahan khol rahi hai

Firaq Gorakhpuri

;

har uqda-e-tadir-e-jahan khol rahi hai
han dhyan se sunna ye sadi bol rahi hai

angDaiyan leti hai tamanna teri dil mein
shishe mein pari naz ke par tol rahi hai

rah rah ke khanak jati hai saqi ye shab-e-mah
ek jam pila KHunki-e-shab bol rahi hai

dil tang hai shab ko kafan-e-nur pahna ke
wo subh jo ghunchon ki girah khol rahi hai

ek aag laga deti hai diwanon ke dil mein
ghunchon ki ragon mein jo teri Dol rahi hai

chhalkati hai jo aankh nigahon se gulabi
is parde mein wo zahr bhi kuchh ghol rahi hai

shabnam ki damak hai wo shab-e-mah ki dewi
moti sar-e-gulzar-e-jahan rol rahi hai

rakhti hai mashiyyat had-e-parwaz jahan bhi
insan ki himmat wahin par tol rahi hai

pahlu mein shab-e-tar ke hai kaun si duniya
jis ke liye aaghosh sahar khol rahi hai

har aan wo rag rag mein chaTakti hui kaliyan
is shoKH hai paimana-e-mai bol rahi hai

KHush hai dil-e-gham-ghin bhi ghanimat hai ye waqfa
us ki nigah-e-naz bhi hans bol rahi hai

go husn ki qimat hai azal hi se do-alam
wo jins-e-mohabbat hai jo anmol rahi hai

phir az-sar-e-nau chaunkti jati hain nigahen
KHamoshi hain aflak zamin bol rahi hai

ek kashf-e-karamat ka aalam hai gulistan
ya baad-e-saba raaz-e-jahan khol rahi hai

chhiDte hi ghazal baDhte chale raat ke sae
aawaz meri gesu-e-shab khol rahi hai

aata hai 'firaq' aaj idhar bahr-e-ziyarat
but-KHane ki KHamosh faza bol rahi hai