har ujala nai sahar to nahin
raat ki umr raat-bhar to nahin
aadmi chand gam baDh na sake
zindagi itni muKHtasar to nahin
ek ujala sa sath rahta hai
sochta hun teri nazar to nahin
ek hangam hai bayaban mein
koi aamada-e-safar to nahin
waqt be-shak azim hai lekin
mujh se tujh se azim-tar to nahin
dur kuchh sae se hain sahra mein
rah-e-gum-karda ham-safar to nahin
aap jo bhi kahen wo sach 'ajmal'
aap ab itne mo'atabar to nahin
Ghazal
Har ujala nai sahar to nahin
Ajmal Ajmali