har taraf shor hai 'mani' chaman-arai hai
tu bhi phir dars-e-fughan de ki bahaar aai hai
be-talab sab ne yahan dad-e-sitam pai hai
hashr hai nala na karne mein bhi ruswai hai
waqai kuchh nahin ya kuchh nazar aata hi nahin
dil-e-mahjur ye zulmat hai ki tanhai hai
muddaa mere junun ka to hai tahsin-e-bahaar
aur duniya ye samajhti hai ki saudai hai
aastan jazb-e-jabin hai magar ai fitrat-e-ishq
main hun aur hausla-e-nasiya-farsai hai
aa ki imdad-e-tasawwur se bhi mahrum hun ab
aur dil sajda-e-aKHir ka tamannai hai
sab rahe sirf badalta raha mahfil ka nizam
tu hai aur silsila-e-anjuman-arai hai
sare aalam ki raqabat ka junun hai mujh ko
aur buniyaad-e-junun aap ki yaktai hai
tu bhi hai un ke liye manzar-e-ibrat 'mani'
jin ka yun dida-e-hasrat se tamashai hai
Ghazal
Har taraf shor hai mani chaman-arai hai
Mani Jayasi