اردو हिंदी
Har taraf satwat-e-arzang dikhai degi | Shaahi Shayari
har taraf satwat-e-arzang dikhai degi

Ghazal

Har taraf satwat-e-arzang dikhai degi

Qateel Shifai

;

har taraf satwat-e-arzang dikhai degi
rang barsenge zamin dang dikhai degi

barish-e-KHun-e-shahidan se wo aaegi bahaar
sari dharti hamein gul-rang dikhai degi

parbaton se nikal aaenge thirakte paikar
naghma-zan, KHamushi-e-sang dikhai degi

raaz mein rah na sakegi koi izhaar ki lai
ek na ek surat-e-ahang dikhai degi

soch ko jurat-e-parwaz to mil lene do
ye zamin aur hamein tang dikhai degi

taj kanTon ka sahi ek na ek din lekin
aashiqi zinat-e-aurang dikhai degi

jab bhi parkhega koi pyar ke meayar 'qatil'
sari duniya mere pasang dikhai degi