har taraf raat ka phaila hua dariya dekhun
kis taraf jaun kahan Thahrun ki chehra dekhun
kis jagah Thahrun ki mazi ka sarapa dekhun
apne qadmon ke nishan par tera rasta dekhun
kab se main jag raha hun ye bataun kaise
aankh lag jae to mumkin hai sawera dekhun
na-KHuda zat ki patwar sambhaale rakhna
jab hawa tez chale KHud ko shikasta dekhun
din jo Dhal jae to phir dard koi jag uThe
sham ho jae to phir aap ka rasta dekhun
ab ye aalam hai ki tanhai hi tanhai hai
ye tamanna thi kabhi KHud ko bhi tanha dekhun
dida-e-KHwab ko ummid-e-mulaqat na de
kis tarah apne hi KHwabon ko sisakta dekhun
rang dhul jaen ghubar-e-gham-e-hasti ke 'asar'
ab ke manzar koi dekhun to anokha dekhun
Ghazal
Har taraf raat ka phaila hua dariya dekhun
Mohammad Ali Asar