har taraf majma-e-ashiqan hai
tere dam ka ye sara saman hai
itna maghrur kyun baghban hai
ye chaman chaar din mein KHizan hai
ishq mein be-KHabar ho gaya hun
kis se puchhun mera dil kahan hai
kuchh nahin sujhti sair-e-gulshan
meri aankhon se wo gul nihan hai
dhyan aaThon-pahar hai usi ka
main yahan hun mera dil wahan hai
sine par rakh ke sota hun us ko
us ki taswir aaram-e-jaan hai
aansu bahne lage dekhte hi
zulf-e-mahbub hai ya dhuan hai
jaan parwana hai us pari par
sham-e-sozan har ek ustuKHwan hai
be-murawwat hai wo bewafa hai
sari mehnat meri raegan hai
kya taDapte guzarte hi apne
dard-e-dil mein hai lab par fughan hai
hijr mein kyun nahin maut aati
hae kya dagh-e-dil maraz-e-jaan hai
DhunDhta hun main yusuf ko apne
KHak mere pas-e-karwan hai
jam-e-mul hath mein wo baghal mein
'bahr' apni ye qismat kahan hai
Ghazal
Har taraf majma-e-ashiqan hai
Imdad Ali Bahr