har taraf aaj hai zulmat ka pahra dekho
dil ye kahta hai koi chand sa chehra dekho
dard sargam ka hua aur bhi gahra dekho
muskuraate hue pazeb ka lahra dekho
gard uDti hai na qadmon ki sada aati hai
qafila dard ka kis moD pe Thahra dekho
use payab samajh kar na utar jao kahin
bahr KHamosh hua karta hai gahra dekho
jazbe sab mar gae lekin wo abhi hai zinda
ruKH-e-maghmum pe hansta hua sahra dekho
dasht-e-pur-haul mein rahib sa akela hai babul
jaise wahshat-zada aahu koi Thahra dekho
Ghazal
Har taraf aaj hai zulmat ka pahra dekho
Mahmood Ishqi